This beautiful song is written by Sankalp Dayal ( aka chacha) in first year. I have added some music to it (not so much a music as a tune). We planned to compose a good song. Sankalp did his part. As always, I was the spoilsport. Hope to post a link to the complete audio some day
Chahta hoon zindagi se milna par zindagi hai ke milna na chahe mujhse
Har dayre ki jeet pakadna chahta hoon main
par do mutthiyon mein thami hi na jaye
Aasman ko lena chahu aaghosh mein
Mar aasman hai ki simta na jaye mujhse
Badhta hi chala jaye..
Li hai aaj pawan se dekho nayi hod maine
Par zamee hai ki chodna na chahe mujhko
Khwaish insaa ko badalne ki rakhta hoon zahan mein
Par insaan hai ki sunana na chahe mujhko
....
Riff
....
Ansuni hi kiye jaye
Sudharna hi nahi chahe
Ubharna hi nahi chahe
Mujhko hi badale jaye...
main badalta chala jau
dar jau sikud jau
har kadam pe ladkhadau
kuch kam har din ho jau...
sau bahane main banau
khwab takna bisar jau
daldal mein ghusta jau
bheed mein hi gum ho jau...
Mujhko hi badale jaye...
Chahta hoon zindagi se milna par zindagi hai ke milna na chahe mujhse
Har dayre ki jeet pakadna chahta hoon main
par do mutthiyon mein thami hi na jaye
Aasman ko lena chahu aaghosh mein
Mar aasman hai ki simta na jaye mujhse
Badhta hi chala jaye..
Li hai aaj pawan se dekho nayi hod maine
Par zamee hai ki chodna na chahe mujhko
Khwaish insaa ko badalne ki rakhta hoon zahan mein
Par insaan hai ki sunana na chahe mujhko
....
Riff
....
Ansuni hi kiye jaye
Sudharna hi nahi chahe
Ubharna hi nahi chahe
Mujhko hi badale jaye...
main badalta chala jau
dar jau sikud jau
har kadam pe ladkhadau
kuch kam har din ho jau...
sau bahane main banau
khwab takna bisar jau
daldal mein ghusta jau
bheed mein hi gum ho jau...
Mujhko hi badale jaye...
Comments
working on it.(for 3 years now). ope to finish it some day.(hopefully before farewell). Good suggestion surabhi.
but keep giving me such suggestions!